Mujhe yaad koi dua nahi, mere hamsafar abhi soch le
Tu meri jabee’n pe likha nahi, mere hamsafar abhi soch le
Abhi raasta bhi hy dhool mein, abhi faida bhi hy bhool mein
Abhi mujh ko tujhse gila nahi, mere hamsafar abhi soch le
Mein janam janam se naraz hun, mein janam janam se udas hun
Mein kabhi bhi khul k hansa nahi, mere hamsafar abhi soch le
Tu hy khawb khawb pukarta, meri ankh mein nahi ashk bhi
Mein k muddaton se jiya nahi, mere hamsafar abhi soch le
Tujhe khushbuon ki hy aarzu, tujhe roshni ki hy justaju
Mein hawa nahi mein diya nahi, mere hamsafar abhi soch le
Tujhe aansuon ka pta nahi, tujhe ratjagon ka gumaa’n nahi
Tujhe is se aagay pta nahi, mere hamsafar abhi soch le
Kahin choot sakta hy darmiyan, na zamee’n milay gi na aasman
Tujhe raaston ka pta nahi , mere hamsafar abhi soch le
Mujhe dhoondta he phiray ga tu, na jiya ga roz mare ga tu
Mein kabhi bhi ghar pe mila nahi, mere hamsafar abhi soch le
Kaho, loatna hy kabhi yahan, mere dard sun mere mehrbaan
Mere paas waqt zra nahi, mere hamsafar abhi soch le

Previous thread